Aadat Lyrics Talhah Yunus

Faasle badhte gaye

Chehre ye padhte rahe

Baahon mein liye in khwabon ko

In kaanton pe chalte rahe
Zakham khud bharte rahe

Lehron se karte gile

Doobe hai sirf teri khatir hum

Wo jaam aage karte rahe
Lehze to kafi hain

Shayad tere aadi hain

Samandar ye lafzon ka jaise

Wo behte huye saqi hain
Tu lahu bhi rag rag se waqif bhi

Jazbe raghabat se taaqat bhi

Hiqmat bhi hai aur nazakat bhi

Najaane tu kitno ki chahat thi

Mujhe teri aadat si
Mujhe teri aadat si

Lage sab banawati

Le doobi ye chahat hi

Mujhe teri aadat si

Mujhe teri aadat si

Le doobi ye chahat hi

Mujhe teri aadat si
Kya ye jashan meri haar ka hai

Saare log mujhse khar khaye

Kya ye khwahishon ka marka hai

Ya asar tera zehar ka hai
Wohi gile wohi shikve

Beqarari jab na dikhte

Tere husn ki taareefon main hi bikhre

Dil kash dil nasheen kya kya likhte
Shamain adhi ho chuki, wo baatein yaad rahi

Kya karun tere liye main baat badi

Din to guzar jaate lagti har ek raat badi

Jalaate hain is zamaane ko wo aag bhari
Ashqon se dariya ye bhar gaye

Samjhe hum lehron se dar gaye

Na chahte huye bhi bichhad gaye

Phir se tum munh pe muqar gaye
Mujhe teri aadat si

Mujhe teri aadat si

Lage sab banawati

Le doobi ye chahat hi

Mujhe teri aadat si

Mujhe teri aadat si

Le doobi ye chahat hi

Mujhe teri aadat si
Mujhe teri aadat si

Mujhe teri aadat si

Lage sab banawati

Le doobi ye chahat hi

Mujhe teri aadat si

Mujhe teri aadat si

Le doobi ye chahat hi

Mujhe teri aadat si